Allah Ne Soch Kar Ye Kaam Kiya Hoga Kahna Kaisa Hai ?

Azhar Alimi
20 Dec 2023

Allah Ne Soch Kar Ye Kaam Kiya Hoga Kahna Kaisa Hai ?

Sawal : as salaamu alaykum wa rahmatullahi wa barakatuhu. Mawlana sahab se mera sawal: Kya Allah ke baare me ye kehna ya maanna sahih hain ke wo sochta bhi hain? yani agar koi shakhs ye kahe ke Allah ne ye kaam soch samajh kar kiya, ya aysa kahe ke Allah ye sochta hain, to aysa kahne wale par kya hukm hain?

Al Jawab : Allah Tala Ke Liye sochne ka lafz istemal karna sareeh kufr hai jaisa ki isi tarah ke aik sawal ka jawab dete hue huzoor shareh e bukhari hazrat allama shareeful haq amjadi rahmatullahi alaih irshad farmate hain " ki ye jumla ki Allah bhi apne dil me sochta hoga ya ye kaam soch kar kiya hoga uaqeenan sareeh kufr hai . lihaza aisa bolne wale ke liye tajdeed e iman , tajdeed e bait aur tajdeed e nikah karna zaroori hai 

(fatawa sharehe bukhari jild awwal page 162 / 163 )

Maulana Azhar Alimi