Bank main paise lagane per ujrat lena kesa hai ? By Hazrat Mufti nizamuddin Razvi
Bank main paise lagane per ujrat lena kesa hai ? By Hazrat Mufti nizamuddin Razvi
Sawal : Kya farmate hai olma e din is masle main : (1) chand nojawan muslamno ne logo ki ruqoomat muntaqil karne k liya ek tanzim banai hai . gujrat , maharashtra , jalon main iski mutadid branches hain , maslan maharashtra se jalon kisi ko apni raqam bhejni ho to wo apne Qaribi branch main Jakar , naam wa paise k sath jama karta hai or jalon ki branch main phone kar diya jata hai . Wo branch fauri taur per ya rakam (Jis k pass phochani hai) ada kar deti hai. Is tarha bohot si dushwari sa bach jate hain or aasani k sath unhe rqomat hasil ho jati hai. Tanzim is kaam k liye bhajne walo sa panch 5% fisad wasul karti hai . Dariyafat talab amar ye hai k tanzim ka ya kaam sharai taur par durust hai ya nahi? Ager nahi to 5 saal tak ye tanzim jo 5 % raqam wasul karti hai or karti rahi . Iska kya kiya jaye ? Neez ager jawaz ki koi dusri surat hai to tehrir farmai jaye . (2) Zaid ka government bank main khata hai . Zaid ko bank sa jo zayed rakam sood ki shakal main milti hai . Wo rakam jo zyada aati hai wo deeni madarse or Gareebo ko de sakta hai ya nahi? Barahe karam quran wa Hadees ki roshni main jawab inayat famaye .
AL JAWAB
(1) Shari nuqta e nazar sa rupeya ek jaga sa dusri jaga muntakil karne ka ya tarika jaiz hai. Us ki nazeer mani order hai. Albatta ujrat ka feesad kam hona chahiya. Behre haal tarika qanonan jurm ho ya mana ho to isse bachen . Is takdir per yahi hukum shara hai . (2) Hukumat e hind k banko main rupeya jama karne per jo zayid rakam milti hai wo sood nahi balki ek paak or halal maal hai . Ise Sood samjna galat hai . Isliye wo zayid rakam zarur le le . Aor ise deeni madarse or mohtaaj muslamano ki madad kare. Ya afzal hai . Chae to apne niji umoor main bhi sarf kar sakte hai . Ya jaiz hai . Is masle ki puri tehkik k liya " Jadid bankari or islam " is kitab ko mutalla kare. By : Hazrat Allama Mufti Nizamuddin Razvi jamia Ashrafia Mubarak Pur