Bank se soodi Qarz lena kaisa hai by Mufti Nizamuddin Razvi Sahab
Bank se soodi Qarz lena kaisa hai by Mufti Nizamuddin Razvi Sahab
Sawal : Kya farmate hai Olma e kiram wa Muftiyan e Ezam ki badi badi tijaraton or bus , track , wagera ki kharidari k liya bank sa Soodi qarz lena padta hai warna is se zyada sarmaya sell tax or income tax ma zaya hojayga. To kya asi majuburi ki surat main bank sa soodi qarz lena jaiz hai?
Al JAWAB. Sell , tax or income tax ke zrar or iski tabakari se bachne ki zarurt or mufsida maznuna ( Ma'ashi zaboo haali , or talimi sakaafti wa siyasi inhatat) k azala K liya bank sa soodi qarz lena jaiz hai k ya haqeeqat me apne maal ko zaaya hone sa bachana hai , neez zrar e ashd sa tehfuz k liya is zarar akhaf ka irtikab hai. Albatta is k liya darj zel ( Given below ) sharayt ki pabandi lazim hai. (1) Banam interest, jitni rakam zayida deni pade wo sell tax or income tax aaid hone wali rakam sa kam ho. (2) Mumkina hadh tak jald azjald qarz ki julma rakam aada kar di jaye , koi karz naagah na ho jis ki bina per mazid izafi rakam dene ki nobat aaye. (3) Aeytikad yahi rakhe k qarz per ya zayid rakam bwajh e majuburi de rahe hain or ise dil sa bura hi jaane ye nahi k " ijazat boja majbur " ko asal mubah samjhe . ki bagair kisi nagawari k batib khatir aise qarz ka lena dena jari kare. (4) Karz itna hi le jitne sa iski hajat puri ho sake k bwajh e hajat jo ijazat hoti hai wo ba - qadre hajat hoti hai . In Shariyt ki riyat k sath bus , train , truck wagera ki kharidari or farogh ma'ash k liya bank sa qarz lene ki ijazat hai warna nahi . Allah behtar janta hai .
By : MUFTI NIZAMUDDIN RAZVI JAMA ASHRAFIYA MUBARAK PUR