Bitcoin in Islam halal or haram | بٹ کوائن کی خرید وفروخت کرنا کیسا ہے

Azhar Alimi
20 Dec 2023

Bitcoin in Islam halal or haram | بٹ کوائن کی خرید وفروخت کرنا کیسا ہے

Sawal : Hazrat Assalam o alaikum warehmatullahi wabarakatuhu. Kaise hain aap ? Ummeed krti hu bakhair honge in shah Allah . Hazrat apse masla puchna tha k yeh aajkal jo bitcoin ka log kaam kar rhe hain kya yeh jayez hai ? Kuch log kehte hain jayez h or kuch kehte hai haram hai . Mujhe aap bata denge apki bahot meharbani hogi . Kyunki hmare khandan me kuch log aise hain jo ise jayez mante hai or Behas krte hain to aap mujhe bata dijye k yeh jayez hai ya haram . Wo log kehte hain k hum gold bhi to aise hi khareedte hain k jab sasta hota hai le lete hain and mehanga hone par kuch change ya khareedna hota hai to bech dete hain isi trha bitcoin k shares hote hain k nuksan bhi ho skta h or fayeda bhi .

Jawab : Bitcoin Islam Me Haram hai Isliye ki iski koi haqeeqat nahi hai , ye bitcoin sirf internet par dikhne wala hai ,Haqeeqat me ye aisi koi cheez nahi jis ko becha jaye . Aur Shariayat ne kisi cheez ko khareedne bechne ki jo shart rakhi hai wo bhi is me nahi pai jati isliye bitcoin khareedna bechna sab najaiz o haram hai . aise hi us ko bechwa kar us par dalali lena bhi haram hai . 

Rahi baat ye ki ye bhi to sone ki tarah hai aisa bilkul nahi hai kyonki sona jab aap lete hain to aap qeemat dene ke baad apne haath men koi cheez pat hain aur yahan aisa nahi hai lihaza ye dhoka hai isliye musalmanon ko chahiye ki aisi cheezon men bilkul na paden aur apni aakhirat barbaad na karen . Wallahu Taala Aalam 

Maulana Azhar Alimi