Juma ke din durood shareef padhne ki fazilat

Azhar Alimi
28 May 2021

Juma ke din durood shareef padhne ki fazilat

Durood Shareef padhne se Allah aur uske rasool khush hote hain . Allah Ta'la ne Quran me irshad farmaya : Beshak Allah aur uske farishte nabi ﷺ par durood bhejte hain , Aye momino tum bhi mere mahboob par durood padha karo .          Hazrat Abu Umama bahli radiallahu anhu se riwayat hai ki , Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya : Mujh par har jumma ke din kasrat se durood pdha karo . Isliye ki meri ummat ka durood mujh ar pesh hota hai . Jo mujh par kasrat se durood padhega wo mujh se zyada qareeb hoga .

( Al targeeb wal Tarheeb , Jild 1 , Page 667 )

Jumma ke din durood padhne ka fayda

Mere pyare dosto Zaroor Juma ke din aur jumma ki raat ko kasrat se durood padha karo . Isliye ki is se gunah bhi aaf honge . Tangdasti bhi door hogi . Aur karam aaqa ﷺ ka ham par ye bhi hoga ki , Aaqa ﷺ hamare durood padhne ko sunte aur pahchante bhi hain . To Aaj hi aap ye ahad kar len ki Insha Allah huzoor ﷺ ka karam hasil karenge . Aur kasrat se durood padha karenge . 

اللھم صل علی محمد وعلی آل سیدنا محمد وبارک وسلم 

Jumma ke din durood padhne ki hadees

Huzoor ﷺ ka irshad hai : Jo mujh par har jumma ke din 80 baar durood paak padhta hai . Uske 80 saal ke gunah maaf kar diye jate hain . Aur jo mujh par rozana 500 baar durood padhta hai , wo kabhi tangdast na hoga . 

( Roohul bayan , Jild 11 page 202 )

Mafakhirul Islam me hai ki , من صلی علی فی لیلۃ الجمعۃ ماۃ صلوات قضی لہ سبعین حاجۃ من امور الدنیا وثلثین من امور الآخرۃ   yani jo mujh par Shab e jumma me 100 baar durood pdhega . Uski 100 hajate poori hongi , Jin me 70 hajaten duniya ki aur 30 aakhirat ki poori hongi .

( Jazbul quloob page 272 ) 

Aik doosari hadees me aaya hai ki jo shakhsh jumma ke din aik hazar baar is durood ko padhe , Jab tak apna thikana jannat me na dekh le dunya se na uthaya jayega . Subhan Allah . Aur wo durood ye hai .

اللھم صل علی سیدنا محمد وآلہ الف الف مرۃ 

( Jazbul quloob page 272 ) 

Jumma ke din durood padhne ki wajah se bakhshish

Hadees shareef me hai ki Hazrat Khalid bin kaseer ke takiye ke neeche se unki rooh niklne se pahle 1 phata hua kaagaz mila jis me likha tha ," برآۃ من النار لخالد بن کثیر ـ   Yaani khalid bin kaseer ki jahannam se najat ho gai , Unke ghar walon se poocha gaya ye konsa amal karte the jo ye karamat hasil hui ? Ghar walon ne bataya ki unka amal ye tha ki har jumma ko 1000 baar durood padha karte the .

( Jazbul quloob page 273 )

Mere pyare Islami dosto : Yaqeenan durood shareef dono jahan ki museebaton ka ilaj hai . Khush naseeb hai wo shakhsh jo poore yaqeen ke saath Huzoor ﷺ par durood padhta hai . Abhi aap ne padha ki jumma ke din pabandi se 1000 baar durood shareef padhne ki barkat se duniya hi me jahannam se najat ki sanad mil gai . Aur aisa kyn na ho jab aaqa ne irshad farma diya to wo haq hai .  kya ham sab ko najat ki fikar nahi hai ? Agar hai to har juma ko jitna zyada ho sake tna durood shareef padh kar jahannam se najat hasil karneki koshish kare . Allah ham sab ko uski tayfeeq ata farmaye . 

اللھم صل علی سیدنا محمد وآلہ الف الف مرۃ 

Shabe Jumma ka durood

اللھم صل وسلم وبارک علی سیدنا محمد النبی الامی الحبیب العالی القدر العظیم الجاہ وعلی آلہ وصحبہ وسلم

Allahumma Salli wasallim wa barik alaa sayyidina Muhamadinin- Nabiyyil Ummiyil habeebil aalil qadril azeemil jaah wa alaa aalihi wa sahbihi wa sallim   


Qaza namaz ka tarika | qaza namaz ki niat aur rakat

Nek aulad ke liye dua | नेक औलाद के लिए दुआ