Jumma ke din konsa waqt hai jis me dua qabool hoti hai

Azhar Alimi
18 Mar 2021

Jumma ke din konsa waqt hai jis me dua qabool hoti hai .

             Jumma ke din ki bahut si fazilate hain. Juma ke din aik aisa waqt hai jis me momin banda jo bhi dua kare Allah tala qabool farmata hai . 
    Iske bare me aik hadees mubarak mojood hai. Hazrat Abu huraira radiallahu anhu se riwayat hai ki Huzoor ne irshad farmaya : Juma me aik waqt aisa hai ki banda agar use paa le aur us waqt Allah se bhalai ka sawal kare to Allah use ata farmayega.


Isi tarah Muslim ki Riwayat me ye bhi hai ki wo waqt bahut thoda hai .

(SAHIH MUSLIM KITABUL JUMA)


Ab rahi ye baat ki wo konsa waqt hai to is bare me bahut riwayate hain
Un me se 2 mazboot hain, Aik ye ki Imam ke khutba ke liye baithne se namaz khatam hone tak…
Aur doosari ye ki Wo Jumma ki pichli saa'at hai . (Bahare shariat jild awwal, hissa 4 page no 754)

Jumma ko nabi e kareem sallahualaihi wasallam ne dino ka sardar bhi farmaya hai . aur ye bahut hi fazeelat o barkat wala din hai . is din me ham sab ko zyada se zyada Allah ki ibadat karni chaihye aur Allah ko razi karne ki koshish karni chahiye .

Jumma ke din ki nafil namaz ki fazilat | जुमा के दिन नफिल की फ़ज़ीलत 

Hazrat Ali bin husain apne walid ke waste se apne dada se riwayat karte hain ki , Wo farmate hain : Main ne nabi e kareem sallahu alaihi wasallam ko se suna : Aap ne farmaya juma ka poora din Namaz ka din hai . Jo momin banda sooraj ke aik neza ya us se zyada nikalne ke baad khada ho , Kamil o mukammal wazu kare aur Iman ki halat me sawab ki niyat se Chasht ki 2 rakat pdhe Allah ta;la uske Naama e aamal me 200 nekiyan likhta hai . Aur us ke 200 gunah mita deta hai . Isi tarah se jo aadmi 4 rakaten pdhe Allah tala uske liye Jannat me 400 darje buland farmata hai . Jo shakhsh 8 rakat pdhe , Allah tala uske liye Jannat me 800 darje buland farma deta hai . aur uske tamam gunaah maaf farma deta hai . Juma ke din jo 12 rakat pdhe Allah tala uske naama e aamal me 1200 nekiyan likhta hai , Uske 1200 gunah mitata hai aur jannat me uske 1200 darje buland farmata hai . 

( Guniyatut Talibeen ) 

Jumma ke din nafil ki fazilat | जुम्मा के दिन नफिल 

Hazrat Ibne umar radiallahu anhu se riwayat hai ki Huzoor ﷺ ne Irshad farmaya : Jo Juma ke din Jama masjid me dakhil ho aur 4 rakat Juma se pahle padhe . Har rakaat me Alhamdu shareef aur 50 baar Surah Ikhlaas padhe > Jab wo marega to apna thikana Jannat me dekh lega > Subhan Allah . 

( Ahyaaul Uloom Page 430 ) 

Hazrat Mujahid radiallahu anhu Hazrat Abdullah Ibne Abbas se riwayat karte hain Ki Nabi e kareem ﷺ ne irshad farmaya : Jo shakhsh jumma ke din Namaz e Jumma aur asar ke beech 2 rakat is tarah padhe , Ki pahli rakat me 1 baar surah fatiha , 1 baar aayatul kursi aur 25 baar Qul auoozu bi rabbil falaq pdhe . Aur doosari rakat me Soorah fatiha 1 baar , Qul huwallahu ahad 1 baar aur Qul auoozu birabbil falaq 20 baar padhe . 

Salam pherne ke baad 50 baar La haula wala quwwat Illa billah padhe wo us waqt tak duniya se nahi jayega jab tak khwab me apne rab ki ziyat na kar le . Wo jannat me apna makaan dekh lega ya use dikha diya jayega . 

( Guniyattut Talibeen , Page 676 )

 

Jumma ki raat ki nafil ki fazilat | जुमा की रात नफिल की फ़ज़ीलत

Hazrat e jabir radiallahu anhu se riwayat hai ki Nabi e akram ﷺ ne irshad farmaya : Jo koi Jumma ki raat maghrib aur Isha ke beech 12 rakat ada kare . Har rakaat me Alhamdu 1 baar , Surah Ikhlaas 11 baar padhe to goya usne Allah tala ki 12 Ibadat is tarah ki din ko Roza rakha aur raat ko shab bedaari ki .

( Ahyaaul Uloom ) 

 

Note : Aap ke kuch sawal hon to pooch sakte hain .

Written By Maulana Azhar Alimi 


Quran ki tilawat ki fazilat / quran ki fazilat

Namaz ki rakat aur niyat / kis namaz me kitni rakat