Loan lekar car [gadi] lena kaisa hai?

Azhar Alimi
30 Mar 2021

Loan le kar gadi khareedna kaise hai ?

Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa brakatuh

Muftiyan e karam ki muazzaz bargah me ek sawal hai:

Sawal ye hai ki aaj kal badi badi agencyon mein menhgi menhgi gadiyan bagair loan ke nahi milti . Kuchh na kuchh byaz dena hi padta hai . Halanki - Aaqaﷺ farmate hain rishwat lene wala dene wala dono jahannami hain . To is tarah loan par gadi lene par shariyat ka kya hukm nafiz hota hai ?

Wa Alakium assalam wa rahmatullahi wa brakatuh. 

Jawab:

Jayez hai, is liye ki agar itni badi raqam ek baar me ada kareinge to income tax ki nazar mein aa jayeinge . Aur fir ek nayi museebat aapke samne khadi ho jayegi . Yani apni jaydad, kamayi ka sorce income sab bayan karna padega. aur fir iske bad tax ada karna padega aur tax taqreeban 30 feesad hai . Ye museebat hamesha ke liye ho jayegi . inhi pareshaniyon se bachne ke liye loan wali soorat ikhtiyar ki jati hai, kiunki loan ki soorat me jo gadi ki asal Qeemat se zayed deni padti hai oh baharhaal tax se kam hoti hai . Isliye ki loan ki soorat me jo interest (bayaz) dena padta hai oh zyada se zyada 14 feesad hai aur agar tax se zyada ho to loan par gadi khareedne ki ijazat nahin ha i.

Loan lena kaisa hai.

Is silsile me asal qaida ye hai ki tax aur loan ki raqam ka muazina kiya jaye to jo kam hai usko ikhtiyar kiya jaye .

Iska maqsad sirf aur sirf ye hai ki musalmanoñ ki raqam zyada kharcha hone se bachaya jaye . is tarah hamare paise non muslim ke pas kam se kam jaye .

Al hasil : tax se bachne ke liye ya bagarz e tijarat basharteke loan ki raqam se zyada kamane ka zane galib ho to loan par gadi lena durust hai aur agar ye soorat na ho to jayez nahi hai.

Jamia ashrafiya Mubarak pur me taveel ul meeaad qarz par seminar hua to is me tax ke ta'alluk se ye faisla hua ki :

Agar ye yaqeen ya zane galib ho ki agar qarz na liya to income tax dena padega jis ki miqdar us raqqm se zyada hogi jo qarz lene ki soorat me mazeed deni padegi, aisi soorat me bhi mazkoorah qarz lene ka jawaz hai
(Majlis e sharayi ke faisle pg. No. 239)

Hadees Sharif me hai :

” لا ربی بین المسلم والحربی “
(نصب الرایہ فی تخریج احادیث الھدایۃ، کتاب البیوع/باب الربا، ج:٤ص:٨٣)

قال في فتح القدير: لا يخفى أن هذا التعليل إنما يقتضي حل مباشرة العقد إذا كانت الزيادة ينالها المسلم… وقد ألزم الأصحاب في الدرس أن مرادهم في حل الربا والقمار ما إذا حصلت الزيادة للمسلم نظرا إلى العلة . وإن كان إطلاق الجواب خلافه . والله سبحانه وتعالى أعلم بالصواب(ردالمحتار، أواخر باب الربا قُبیل باب الحقوق، ج:٤،ص:٢٠٩،دارالکتب العلمیہ، بیروت)

" Siraj ul Fuqha ki deeni majalis" me hai ki loan par auto lene ki ijazat hai . Jab ki zaaid raqam jo deni padegi us se zyada kamane ka zanne galib ho . 
Is se ba garz e tijarat loan par gadi lene ka jawaz nikalta hai.