Murtad Ke Saath Talluq Qayam Karna Kaisa Hai ?

Azhar Alimi
20 Dec 2023

Murtad Ke Saath Talluq Qayam Karna Kaisa Hai ? 

Sawal : As salaamu alaikum. Hazrat se mere do sawal: 

1) agar apne family me koi kufr kar ke murtad ho jaye, to kya unse fauran ta'alluq todna hoga ya acche ta'alluq rakh kar unki rahnumai kar ke unko tajdid e iman karwane ki koshish karni hogi? 

2) Murtad se agar koi business account khulwaya ya apna wakil ya mulazim bana ke maal kharida ya becha, to us account ka istemal karna ya jis maal ki kharid/ farokht ki, wo maal ya uska munafa mere liye halal hoga ya nahi?

 Syed Nawaz Guwahati, Assam.

Al Jawab : Aap Ke Pahle Sawal Ka Jawab Ye Hai Ki Agar Aap Sirf is niyat se talluq rakhna chahte hain ki aap un ko sahi raste par le aayenge to 3 din tak ijazat hai ki aap unke shak aur shubhe ko door karen agar wo maan jayen to theek hai aur agar na mane to us se talluq khatam kar liya jaye . . isliye ki shariat ye kahti hai . Tarjuma : Shaitan ke raste par chalne walon ke paas na baitho un ke bare men jante hue bhi . Aur Un se dili lagao na rakha jaye . 

Doosre Sawal Ka Jawab : Duniwai Kaam Kisi bhi Karna Karwana Jaiz hai isme koi haraj nahi hai chahe wo murtad ho ya pahle se hi kaafir ho us ko muamilat kahte hain albatta agar bachna mumkin ho to bacha jaye warna un se karaye gaye kaam bhi jaiz hai aur uski kamai bhi jaiz hai . 

Maulana Azhar Alimi