Nafil namaz ki fazilat | Hafte ke dinon me nafil ki fazilat

Azhar Alimi
05 Jun 2021

Nafil Namaz ki barkaten

Allah tala ne Insanon ko apni ibadat ke liye paida farmaya hai . Khud Allah kalam e paak me irshad farmata hai . " Main Insan aur Jinnaton ko apni Ibadat ke liye paida kiya hai . Ibadat ki kai qisme hain . Aik wo Ibadat hin ka karna farz hai ki unko ada kiye bagair chutkara hi nahi , Unhe faraiz kahte hain . Ibadat ki aik qism nafil ibadat hai ki uska karna zaroori to nahi , Lekin ada karne se be panah fazail o barkaat hasil hote hain .

Nafil namaz Khuda se Qareeb hone ka zariya hai

Hazrat Abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki Huzoor sallahu alaihi wasallam ne farmaya : Ki Allah tala farmata hai ki jo mere kisi wali se dushmani kare use main ne ladaai ka elaan de diya . Aur mera banda kisi cheez se mera qurb utna hasil nahi kar pata jitna faraiz se hota hai . Aur nafil namazon se hamesha qurb hasil karta rahta hai . Yahan tak ki main use apna mahboob bana leta hun , Aur agar wo mujh se sawal kare to main use dunga aur panah mange to panah dunga .

( Bahar e shariat 4/8 )

Saneechar ke din Namaz ki Fazilat

Hazrat abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki Nabi e kareem sallalhu alaihi wasallam ne irshad farmaya : Jo shakhsh baad namaz e zohar ke 4 rakat nafil namaz padhe . Har rakat me Alhamdu ke baad "Qul ya aiyuhal kafiroon " 3 baar aur surah ikhlaas 3 baar padhe . Phir Namaz ke baad 3 baar "Ayatul kursi " padhe . Usko Allah tala har harf ke badle 1 hajj aur aik umra ka sawab ata farmayega . Isi tarah se usko aik saal ki ibadat aur 1 Shaheed ka swab milega .

Itwaar ( Sunday ) ke din ki namaz ki fazilat

Hazrat Abu hurairah radiallahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah sallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya: Jo koi Itwaar ke din 4 rakat padhe , Har rakaat me Alhamdu aur " Aamanar rasool " ( Surah baqra ki aakhri aayat ) 1 baar padhe Allah tala uske liye har nasraani aur mard o aurat ki taadad ke barabar nekiya likhega . Usko 1 Nabi ki Ibadat ka swab ata farmayega . Aur aik Hajj o Umra ka sawab ata karega . Isi tarah har rakaat ke badle me Hazar namazo ka sawab likhega . Aur Jannat me usko 1 shar Mushk e khaas ata farmayega .

(Ahyaul Uloom , 428 )

       Hazrat Ali bin abu talib karramallahu wajhahul kareem se riwayat hai ki Nabi e kareem sallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya : Itwar ke din Namaz ki kasrat ke saath Allah ki tauheed bayan karo . Allah akela hai , Uska koi shareek nahi . Jo shakhsh Itwar ke din Zohar ki farz aur sunnaten padhne ke baad 2 rakat namaz ada kare , Jis me surah fatiha aur jumma padhe aur apni hajat ka sawal kare . Allah tala ke zimma e karam par wajib hai ki uski hajat ko poora kare aur use Eesaiyon ke deen se mahfooz rakhe .

( Guniyatut talibeen , Page 675 )

Sunday ( Itwar ) ki raat nafil namaz ki fazilat

Hazrat Anas radiallahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah sallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya : Jo Itwar ki raat me 20 rakat nafil padhe . Har rakaat me Alhamdu 50 baar , aur surah ikhlaas , surah falaq aur naas 1 baar padhe . Namaz ke baad 100 baar Istigfaar padhe , apne liye aur apne maan baap ke liye 100 baar magfirat ki dua kare . Isi tarah Huzoor sallahu alaihi wasallam par 100 baar durood shareef padhe .Phir Allah ki taraf Iltija kar ke ye kahe :

اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان آدم و ابراھیم خلیل اللہ . و موسی کلیم اللہ و عیسی روح اللہ و محمدا حبیب اللہ

To us shakhsh ko un logo ki tarah sawb milega jo Allah ki raza talab karne me aulad ke qatl nahi hain . Aur qayamat ke din use Allah tala amn o amaan walon ke sath uthayega . Allah ke zimma e karam par hoga ki Jannat me use nabi e kareem sallahu alaihi wasallam ke saath dakhil farmaye .

( Ahyaul uloom , page 435 )

Peer ke din nafil namaz ki fazilat

Hazrat jabir radiallahu anhu Huzoor sallahu alaihi wasallam se riwayat karte hain ki aap ne farmaya : Jo somwaar ke din sooraj ke ooncha hone ke baad 2 rakaat padhe . Har rakat me Alhamdu 1 baar , Ayatul kursi 1 baar , Surah falaq aur surah naas aik aik baar padhe . Salam pherne ke baad 10 baar istigfaar aur 10 baar Huzoor par durood padhe , Allah tala uske tamam gunah ko maaf farma dega .

( Ahyaul uloom , page 428 )

Mangal ke din nafil namaz ki fazilat

Yazeed raqqashi hazrat Anas radiallahu anhu se raavi hain ki Huzoor sallahu alaihi wasallam ne farmaya : Jo koi mangal ke din dopahar ke qareeb aur aik riwayat me hai ki sooraj ke uooncha hone ke waqt 10 rakat is tarah padhe , Ki har rakat me Alhamdiu ke baad ayatul kursi 1 baar aur surah Ikhlaas 3 baar padhe to uske zimme 70 din tak gunah na likha jayega . Agar wo 70 din ke darmiyan mar gaya to shaheed marega . Isi tarh uske 70 saal ke gunaah maaf kar diye jaynge . ( Gunyatut Talibeen , Page 675 ) Budh ke din nafil namaz ki fazilat Hazrat maaz bin jabal radiallahu anhu se riwayat hai ki Huzoor sallahu alaihi wasallam ne farmaya : Jo budh ko din chadhe 12 rakat padhe , Aur har rakat me Alhamdu ke baad ayatul kursi 1 baar aur sukrah Ikhlaas , falaq aur naas 1/ 1 baar padhe , to use arsh ke qareeb farishta pukarat hai ki aye Allah ke bande ye amal phir se kar ki tere pahle gunaah bakhsh diye gaye . Aur Allah tujh se azab e qabr , uski tangi aur andhera door kar dega . Qayamat ki sakhtiyan us se utha lega . aur us din se uske liye aik Paigambar ka mal Izafa farmayega .

( Guniyatut talibeen , page 675 )

Jumerat ke din nafil namaz ki fazilat

Hazrat Ibne Abbas radiallahu anhu se riwayat hai ki Huzoor sallahu alaihi wasallm ne farmaya: Jo jumerat ke din Zohar aur asar ke darmiyan 2 rakaat padhe . Pahli rakaat me Alhamdu ke baad ayatul kursi 100 baar , Doosari me Alhamdu ke baad 100 baar surah Ikhlaas padhe . Phir namaz ke baad 100 baar durood shareef padhe , To Allah tala use us shakhsh ka sawab ata farmayega jis ne Rajab , Shaban aur Ramzan ke roze rakhe hon . Aur use Hajj ka sawab ata hoga . Isi tarah Allah tala uske liye un logo ki tadad ke barabar sawab ata farmayega jo uspar Iman layen aur tawakkul karte rahen .

( Guniyatut talibeen , Page 676 )

Maulana Azhar Alimi

वजू की फ़ज़ीलत | वजू नमाज़ की कुंजी है | wazu ki fazilat