Namaz ke faraiz / Namaz me kitne faraiz hain
Namaz ke faraiz
Namaz ke faraiz 7 hain .
- Takbeer e tahreema .
- Qayam yani Seedhe khade hona .
- Qirat karna .
- Ruku karna .
- Sajda karna .
- Qaada e akheera karna .
- Khurooj e bi sune'hi yani dono taraf salam pherna .
Takbeer e tahreema ka kya matlab hai .
Takbeer e tahreema yani Allahu akbar kah kar namaz shuru karna . Iske alawa namaz me jab Allahu akbar kaha jata hai wo sab sunnat hain. Sirf Namaz ke shuru me jo kaha jata hai wahi Allahu Akbar kahna farz hai . Isko chodne se namaz nahi hogi . Namaz ke doosre arkan ke waqt jo Allahu akbar kaha jata hai use takbeer e intiqal kahte hain . Jin namazo me qayam farz hai usme takbeer e tahreema ke liye bhi qayam farz hai . Agar kisi ne Allahu akbar kaha phir khada ho gaya to uski namaz shuru hi nahi hui . Takbeer e tahreema me Allahu akbar kahna wajib hai . Takbeer e tahreema ke liye dono hatho ko kano tak uthana sunnat hai . Dono hatho ko takbeer se pahle uthana sunnat hai .
Namaz ke faraiz Qyam ka kya matlab hai . Namaz ke faraiz
Qayam yani namaz me khada hona hai . Aur qayam ki kami ki janib had ye hai ki haath phailaye to ghutno tak hath na pahunche . Aur poora qayam ye hai ki seedha khada ho . Qayam ki miqdar itni der tak hai jitni der qirat hai .
Qayam ke Aham masail
- Fraz , witr , eiden aur fajar ki sunnat me qayam farz hai . Agar bagair uzr ye namaz baith kar padhega to namaz na hogi .
- Aik pair par khada hona makrooh e tahreemi hai . Aur agar kisi uzr majboori se aisa kiya to koi harj nahi .
- Agar kuch der ke liye bhi khada ho sakta hai , Chahe takbeer e tahreema hi kah le to itni der tak khada hona farz hai . Khada hokar itna kah le phir baith jaye .
- Qayam me 4 ungul ka fasila rakh kar khada hona sunnat hai .
- Namazi ko qayam ki halat me apni nazar sajda ki jagah rakhna sunnat hai .
- Agar koi shakhsh itna kamzor hai ki masjid me jamat ke liye jane k baad , Khade hokar namaz na padh sakega . Aur ghar me padhe to khada hokar adh sakta hai , To ghar me khade hokar padhe . Jamat mayassar ho to jamat se warna tanha padhe .
Namaz ka teesra farz Qirat
Qirat farz hone ka matlab ye hai ki , Aik ayat padhna farz hai . Farz ki pahli 2 rakato me aur witr , sunnat aur nafil ki har rakat me Imam aur akele padhne wale par farz hai . Aik choti ayat jis me 2 ya 2 se zyada kalimat ho padh lene se farz ada ho jayega . Aur agar aik hi harf ki ayat ho jaise Saad , Noon , Qaaf to uske padhne se farz ada na hoga .
Qirat ke Aham masail
- farz ki kisi rakat me qirat na ki , ya sirf aik hi rakat me qirat ki to namaz fasid ho gai .
- Surah fatiha poori padhna wajib hai . Fatiha me se aik lafz ka bhi chodna tark e wajib hai .
- Alhamdu padhne me agar 1 lafz bhi bhool kar vhoot jaye to sajda e sahu kare .
- Alhamdulillah ke saath surat milana wajib hai . Yani 1 choti soorat ya 3 choti ayat , Ya 1 badi ayat jo 3 choti ayat ke barabar ho .
- Farz namaz ki pahli 2 rakato me Alhamdu ke saath surat milana wajib hai .
- Witr , sunnat aur nafil ki har rakat me Alhadu ke saath surat milana wajib hai .
- Imam ne jehri namaz me qirat shuru kar di ho to muqtadi sana na padhe . Balki khamosh rah kar qirat sune kynki qirat ka sunna wajib hai .
Namaz ka chautha farz - Ruku / Namaz ke faraiz
Ruku yani itna jhukna ki hath badhaye to hath badhaye to hath ghutne ko pahunch jayen . Ye ruku ka adna darja hai. Mukammal ruku ye hai ki peeth seedhi bicha de .
Ruku ke aham masail
- Har rakat me sirf 1 hi ruku kare agar bhool kar ruku kiye to sajda e sahu wajib hai .
- Ruku me se kam 1 martaba Subhan Allah kahne ki miqdar tak rukna wajib hai .
- Ruku me 3 baar Subhan Rabbial Azeem kahna sunnat hai . 3 Baar se kam kahne me sunnat ada na hogi .
- Ruku ki tasbih kahte waqt عظیم ki ظ ko Khoob ehtiyat se ada kare . Kuch log Jeem ada karte hain ye sakht gunah hai . Kynki Azeem Aur ajeem ke mano me zameen o aasman ka farq hai . سبحان ربی العظیم ka mana hai paak hai mera rab jo azmat wala hai . Aur Ajeem ka mana goonga hota hai . aur ye mana Allah ki taraf karna skht mana hai .
- Ruku me jane ke liye Allahu akbar kahna sunnat hai .
Namaz ka 5wan farz - Sajda
Insan ko sab se zyada khuda ka qurb sajde ki halat me hasil hota hai . Sajda yani peshani , naak , Dono haath ki hatheliyan , Dono ghutne Aur pair ki ungliyan zameen par lagna hai .
Sajda ke masal
- Paon ki 1 ungli ka pet zameen se lagna farz hai . Agar kisi ne istarah sajda kiya ki dono pair zameen se uthe rahe to namaz na hogi . Balki agar sirf ungliyon ki pet zameen se lagi tab bhi namaz na hui.
- Sajda me dono pair ki ungliyon ke pet zameen se lagna sunnat hai . Aur har pair ki 3 ungli ka zameen se lagna wajib hai .
- Sajda 10won unliyon ka qibla ki taraf hona sunnat hai .
- Har rakat me 2 baar sajda karna farz hai .
- Aik sajda ke baad fauran dosra sajda wajib hai . Yani dono dono sajdon ke darmiyan koi rukn e fasil na ho .
- Aik rakat me 2 hi sajda karna aur 2 se zyada sajda na karna wajib hai .
- Sajda me kam az kam 1 baar Subhan Allah kahne ke waqt ki miqdar tak rukna wajib hai .
- Sajda me jane ke liye aur uthne ke liye Allahu Akbar kahna sunnat hai .
- Dono sajdon ke darmayan seedha baithna wajib hai .
- Sajda me naak ki taraf nazar karna mustahab hai .
Namaz ka chatta farz Qaada e akheera / Namaz ke faraiz
Qaada e akheera yani wo baithak ki jis ke baad salam pher kar nama poori ki jati hai . aakhiri qaada me poora tashahud padhna wajib hai .
Aham masail
- Qaada e akheera me tashahhud ke baad durood shareef aur duaye masoora padhna sunnat hai .
- Afzal ye hai ki durood shareef me Durood e ibrahim padhe .
- Durood shareef ke baad duaye masoora arabic me padhen . Gair arabic me padhna makrooh hai .
- Qaada me ungliyon ko apni halat par chode rakhe . Yani ungliyan na khuli hui hon aur na mili hui hon balki unki halat par chod de .
- Qaada e uoola me bhi poora tashahhud padhna wajib hai . Aik lafz bhi agar chodega to tark e wajib hoga . Aur sajda e sahu karna padega .
Namaz ka saatwan farz - Khurooj e bi-sunehi
Khurooj e bi-sune'hi yani apne irade se namaz se bahar aana . Salam lafze Assalam se hi pherna zaroori hai . read more,,,,,,,,,, wazu ke faraiz fajar ki namaz ka tarika / niyat tahajjud ki namaz ka tarika