Wazu ka paani kaam me laa sakte hain?
Wazu ka paani kaam me laa sakte hain?
Sawal : kya wazu ka paani direct ya indirect kisi kaam me laa sakte hain? agar is paani ko jama karke khet me istemaal kare ya khaad tayyar kar ke us khaad ko khet me daale to Jayaj hai ya nahi? kyun ki paani ki kami ki wajah se Zaraat bahut hoti hai . Agar hazaro litre paani rozana wazu me istemal hota hai,to kya hum use zarurat ke pesh e nazar kisi bhi product me istemal kar sakte hai? Jawab- Wazu ka paani yaani wazu karte waqt Jo paani girta hai woh tahir gair mutahhir hai Taharat ke kaam me nhi laa sakte . Is ke siwa sinchayi aur dusre aise kaamo me istemal kar sakte hai jin me paani nijast se aaloodah na ho yunhi khaad agar paak cheezo se tayyar ki jaaye to us me bhi wazu ka paani Baha sakte hai- Is silsile me ye baat zehen me rahe ke use napaak cheez me na bahaya jaaye,na milaya jaaye.paak cheezo aur jagho me istemal karna jayaz hai. Wajah yeh hai ke wazu ki nisbat ki wajah se ye paani gair mutahhir hone ke bawajud bhi mohtram hai, Magar masjid ki taraf nisbat karte huye is ki aalishaan -o- rifat makan ki bina par ye aalooda hai . Isiliye masjid aur is tarah ke muqaddas maqamaat me ise na bahaye ,aur napaak jagho me bhi nahi . durr e mukhtar me hai : ومن منهياته التو ضو ء بفضل ما ء المر اة وفي موضع نجس لا ن ما ء الو ضوءحرمة اوفي المسجد الافى اناءاوفي موضع اعدلرك له والله تعالى اعلم.