Ye kahna Ki Main Kafir Hun Kaisa Hai ?

Azhar Alimi
20 Dec 2023

Sawal : Maulana sahab ik masle ka hal bataiye badi meherbani hogi. Miya biwi mein behes hogay. Biwi ne kaha k aap baat toh aise kar Rahe Hai jaise aap fajar padh k baithe hai. Shoher ne kaha hum toh kafir hain. Is pe biwi ne kaha k aap ye kya bole imaan ki tajdeed kijiye kalma Padhye. Phir wo shoher namaz k liye masjid Chale Gaye aur tauba astagfar ki kalma bhi padha. Ab inka nikha k bare mein kya hoga ?

Al Jawab : Jaan Boojh kar Apne Aap ko kafir kahna badi sakht baat hai aur ye kahna main to kafir hun kufr ka iqrar hai aisa shaksh kafir ho jayega . Unhono tauba kar liya theek hai saath hi tajdeed e iman aur tajdeed e nikah bhi karna zaroori hai aur aage se aisi baat kahne se apne aap ko bachana lazim hai . 

"مسلم قال: أنا ملحد يكفر، ولو قال: ما علمت أنه كفر لايعذر بهذا ... وفي اليتيمة: سألت والدي عن رجل قال: أنا فرعون، أو إبليس فحينئذ يكفر، كذا في التتارخانية".

Wallahu Taala Aalam 

Maulana Azhar Alimi